Friday 2 September 2011

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai, dedicated to sad happenings in Karachi.

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
To wo hamla nahin kerta,

Suna hai jab kisi nadi k paani main

Bue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai

To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko
Parosi maan leti hain,

Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain
To Meena apne ghar ko bhool ker

Ka’uve k andon ko paron main thaam leti hai


Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to

Saara jangle jaag jaata hai.


Naddi main baar aa jaaye

Koi Pull toot jaaye
To kisi lakri k takhte per

Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri
Saath hote hain.

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,
Khuda-wanda Jaleel-o Mu’atbar, Daana-o Beena, Munsif-o Akber,

HUMARE SHAHAR MAIN AB,
JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!

Parveen Shakir