Sunday, 8 August 2010
ABIDA PARVEEN - Woh Humsafar Tha, Magar Us Se Hum-Nawa'i Na Thi
Tark e taulaqaat pe, Roya na tu na mein,
Lakin yeh kya keh chain se soya na tu, na mein
Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
keh dhoop chaaon ka alam raha,judaai na thi
Kuch iss adaa se aj wo pehlu nasheen rahy,
Jab tak hmary paas rahy , hum nahi rahy
Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha
Shiikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi
Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin
Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi
Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi
Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat
Kabhi yeh marhala jaisay keh aashnayi na thi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
4 comments:
aapke version mein words alag kyun hai youtube video se?
abida parveen best song
ager aap k pas abida parveen ki Email hai to send me fari_waridtel@live.com
awesome shairi.. was looking for dis song ang got to your blog =)
awesome .. the poetry is like ufffhh..
Post a Comment